Pregnancy
me vomiting or nausea hona
Nausea or
vometing pregnancy ke pehle signs mein se ek ho sakta hai aur aamataur par esa pregnancy
ke 6th week ke aas paas shuru hota hai. yeh din ke kisi bhi time ho
sakta hai, aur zyadatar women ke me, pregnancy ke 12th week ke baad
band hojata hai .
Morning sickness aapke yaa aapke bachche ke
liye harmful nhi hai,lekin agar aapko zyada vomitings hoti hai or food bilkul stomach
me nhi ruk paaraha hai ,to aapko hyperemesis
gravidarum hosakta hai.
Morning
sickness:
50% se zyada
women ko morning sickness hoti hai.Pregnancy ke first trimester me hone vali
nauseous feeling morning sickness hoti hai,jo aapki body mein badhe hue
hormones ki wajeh se hoti hai.
Moning
sickness vomiting ke sath hosakti hai.Kai doctor sochte hain morning sickness
ek achcha sign hai kyu ki isse pata chalta hai ki placenta achchi tarha se
develop ho rhi hai.morning sickness koi dark i baat nhi hai ,use aaraam ke liye
several ways available hain.
Neeche
diye gaye steps aapke symptoms ko kam karne me madad karenge:
Kya
kare?
- Zyadatar
small meals le.
- Fluids khana khan eke 1/2 ghante pehle ya baad le ,lekin khane ke sath me na le.
- Subhe uthne se 15 minute pehle soda crackers khae.
- Dehydration se bachne ke liye din me small amount me fluids le.
- Jab bhi aapka man kare aap job hi khana chahe khae.
- Agar khane ki smell aapko pareshan karti hai to kisi or ko khane banana ko kahe or khana bante waqt windows ko khol de or fans ko on karde.
- Din ke doraan aaraam kare or thodi si nind le.
- Nausea se rahat paane ke liye lemon or ginger ko sunghe,lemon juice piye,watermelon khae.
- Exercise kare
- Warm places ko avoid kare,garmi lagne se nausea badhta hai.
- Salty potato chips khae ,isse pet theek rahega or zyada bhook lagegi.
Kya naa kare?
·
- Khane ke baad na lete.
- Meals skip na kare
- Spicy food na khae na hi pakae
Hyperemesis
gravidarum
hyperemesis
gravidarum ek esi condition hai jisme severe nausea,vomiting, weight lose or
electrolyte disturbance hota hai.Normal cases ko diet me changes karke,rest ,or
antacids se treat kiya jata hai.Zyada severe cases me aksar hospital mein admit
karne ki zarurat hoti hai taaki mother ko intravenous line (IV) ke through
nutrition or fluids mil sake.
Nutritions ki
kami or electrolyte imbalance ki wajeh se hyperemesis gravidarum aapke or aapke
baby ke liye harmful bhi ho sakta hai agar yeh severe ho or uska treatment na ho.
Esi
condition me bina doctor ke prescription ke koi bhi medicine na le.Isliye
zaruri hai ki ese symptoms dikhai dene par jadi hi apne doctor se consult kare
or treatment ke possible options ko discuss kare.
Apne
doctor se consult kare:
- Agar
nausea or vomiting zyada badh jae or bilkul khana na ruke.
- Vomiting ke sath pain ya fever ho.
- Agar vomiting or nausea 2nd trimester me bhi pehle jesi bani hui ho.
No comments:
Post a Comment