PCOS and pregnancy
Polycystic
ovarian syndrome or PCOS ek common hormonal condition hai women main.PCOS ke
sath women ko pregnant hone ke liye kaafi mushkilo ka saamna karna padhta hai
or pregnancy ke doraan complications ka risk bhi high hota hai.Jabki PCOS ke
symptoms ko manage karke kai women pregnant ho sakti hain.
PCOS kya hai?
PCOS ek esi
condition hai jisme ovaries normal se higher level main male hormones
(androgens) produce karne lagti hain.yeh women ki menstrual cycle ,fertility or
appearance par asar kar sakta hai.PCOS ke symptoms me yeh sab shamil hai:

- Menstrual periods ka irregular hona.
- Weight ka badhna
- Ovaries me cysts ka bnna.
- Acne
- Infertility (pregnancy na hona)
- Face or body pe hairs ka badhna.
- Sar ke balon ka jhadna ya patla hona.
- Insulin ka badhna.
Diagnosis:
Kai bar
women ko PCOS ka pata lgane me thoda waqt lagta hai kyuki ye condition dusri
problems ko bhi naqal kar sakti hai.Kabhi kabhi jab women ko pregnant hone main
problem aati hai tab unhe PCOS ka pata lagta hai.
Agar aapko
lagta hai ki aapko PCOS ho sakta hai to ye zaruri hai ki aap apne doctor se consult karke uske symptoms ke causes ko pata lagae.Early diagnosis ke sath PCOS ke symptoms ka jald hi
treatment kiya ja sakta hai. Esa karne se jab aap pregnancy plan krengi to usme aane wale complications ke risk ko kam kar sakti hain.
Aaapke
appointment pe aapke doctor :
- Aapse
bat karke aapko examine karenge
- Male
hormone ko check karne ke liye blood test kiya jata hai
- Ovaries me cysts ko check karne ke liye ultrasound scans kiya jata hai.
PCOS and infertility:
Agar aapko
PCOS hai to aapko pregnant hone ke liye struggle karna padh sakta hai,esa
isliye kyunki male hormone egg release hone (ovulation) se rokte hai.
Aap pregnant
hone ke chance ko ese badha sakte hain:
- Ek healthy weight bnae,yaha tak ki 5 se 10% weight kum karke bhi aap pregnancy ke chance ko badha sakti hain.
- Healthy foods khaae.
- Exercise
kare.
- Ovulation
ko monitor kare or ovulation ki timing ke aas pas sextual intercourse kare.
Agar aapne kuch changes kiye hain lekin abhi bhi aapko koi
madad nhi mili hai ,to aapke doctor aapko fertility test kervane ko kahenge or
aapko ovulate karne main madad karne ke liye fertility medicine de sakte hain.
Agar medicines bhi asar nhi karti hain to doctor aapko
surgery ke through tiny amount me tissues nikalvane ko kehsakte hain jo ki male
hormones ko produce karte hain.
Ek or option hota hai in vitro fertilisation (IVF), jiske
through pregnancy ke chance kaafi had tak zyada hote hain. Halanki ye expensive
hosakta hain,aamtor par ye sirf tabhi kiya jata hai jab baaqi saare options
unsuccessful hojate hain.
Vese badalte hue lifestyles ke sath ye infertility treatments
ke through PCOS ke bawajud zyadatar women pregnant ho jati hain.
PCOS and pregnancy:
PCOS hone se pregnancy ke doraan complications ka risk zyada
hota hai,jese ki:
·
Miscarriage
·
High
blood pressure
·
Gestational
diabities
·
Premature
birth
PCOS ke sath
women ko caesarean ki zyada zarurat hoti hai kyuki ese me babies unki expected
gestational age se zyada large ho sakte hain.
PCOS ke sath
women me delivery ke time baby ke jaan ko zyada risk hosakta hai ya baby ko
newborn intensive care unit me admit krana pdhsakta h.
Agar
aapko PCOS hai or aap pregnant hain,to ye zaruri hai ki aap doctor se baat
kare.PCOS ke symptoms ko monitor karke or pregnancy ke doraaan extra care karke
complications ke risks ko kam kiya jasakta hai.
Are you suffering from PCOS? If you need advise from experts then Dr. Neelu Koura best PCOS Doctor provides free consultancy services to the seekers. In our hospital we have a team of experienced doctors who provide quality of services. For more detail you can contact us.
ReplyDelete